Mindbrews Podcast coming in Soon! Stay Tuned!

LiteraryPoemWomen

Maa Beti Ka Rishta

This is dedicated to all mothers

Waqt ke saath saath sab kuch badal jataa hai, Aas paas ke log, unki soch, bas ek cheez hai jo kabhi nhi badlti, aur wo hai Maa-Beti Ka Rishta... Maa jo shayad sbse pehla shabd hota hai hmare jeevan ka, yeh shayad ek shabd hi nhi balki wo hai jo pareshani main sbse phle yad aata hai hmein.

Yun toh sb apni maa ko bohot pyaar krte hai pr bohot kam hote hai jo apni maa ke pyaar ko smjh paate hain! Maa ke bare main kehne ko toh bohot kuch hai, par sbse achi baat yeh hai ki duniya main koi toh hai jo hmare lye jeeta h 🙂

Maa woh hai jo apne sapne hum main dekhti h. 
Maa woh hai jo hmare rone pr roti hai.
Maa ka apna koi dukh-sukh nhi, 
Bas hmare dukh-sukh ko hi apna smjh leti hai?

Kal jab main sasural chali jaun toh Maa rona nhin,
Samjhna mujhe ki woh majburi h meri,
Maa hmesha bachpan se jana tha ki main teri beti hun,
Pr kyun mujhe koi tujhse cheen kr le gya,
Kyun Maa janam tune diaa, raaton main jaag jaag kr tune apni neend kharab kri,
Aur sasural wale haq jtate h apna 🙁
Kyun Maa rishta toh hum dono kaa hi pehla hai,
Fir bhi kyun tujhse hi dooriyan h maa…

I Love uhh so much maa <3

By: Shubhangi Singhal

Author

Related posts
PoemWomen

You Can Never Know!

LatestLiteraryPoemRelation

FATHER'S DAY 2020: TOAST TO SAVIOUR'S OF OUR STORY